Saturday, August 27, 2011

Zabt e tehreer (Ek berabt khyal)

main aaj likhne se qasir hoon

main likh bhi nahi sakta use

woh warq e zindagi jis par

tumhara nam hi likhna tha mujh ko

woh safha e zeest hasil ho gaya mujh ko

magar zabt e tehreer ka yara nahi baaqi

nahi likhna mujhe woh kuch

jo guzri humare aur tumhare darmyan

khizan k mausamon ki aakhiri shab mein

woh aahon ki sada jo zard patton ko

bahar e nau ka naghma sunati hi rahi

qalam ko shah e jahan mana magar phir bhi

jo kahani thi adhoori woh puri ho nahi paye

nahi likha kabhi humne woh kuch

jo is jeevan k kal chakra main

uljah kar rah gaye kisi faryadi ki manind

sawalon ko uthane ki ijazat bhi nahi mujh ko

jawabon k samundar mein sawalon ki nahi zaroorat

zindagani k qaziye se ab farar hi muqaddar hai