wahshat si bhar gya tha mere dil mein woh
maseeha samajh k maine qatil ko dee jagah
andaze dosti pe uske tut k aaya mera dil
lekin zillat naseeb thi,usne ata ki har jagah
zindagi ki haseen sa'aten usi ki yad ka makan
jo mere gham mein shareek tha,jo humsafar tha har jagah
khizan naseeb kar k mujhe chala gya woh shakhs
lekin uski yad ka nishan dhoondhta hoon har jagah
aaye sadae dil k gham hi tera naseeb hai
gham jo wafa ki aag mein jalta hai har jagah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
nice... but a little more pragmatic approach to poetry...
ReplyDeletewah wah....bohot khoob.....! feelingz r vry well shaped....wid precise words....
ReplyDeletelovely compositions...
ReplyDeleteSalam Bro...THis is Atir..It was really heartening to see someone from our genre writing Urdu Poetry..Masha Allah, your thought has depth and sincerity. Try to organize it little more with Maqta at the End..Take care of your Health..Allah Hafiz.
ReplyDeletegrt work musab....main urdu jyada to nahi samajhti par tumne dil ko kagaz pe utar kar rakh diya hai....yet i belive this is just a start....miles to go...
ReplyDeleteGham-e-duniya bhi gham-e-yaar me shaamil karle.
ReplyDeleteNasha badhta hai sharaabain jo sharabon se milain.
Dono ko ghol kar kya nayaab cheez tayyar ki hai musab babu. MashaAllah !!! Nihayat umda koshish hai.