Thursday, July 15, 2010

main aur tum

main bhi kho jaon
tum bhi kho jao kahin
bhool jaen
tum bhi the
hum bhi the kabhi
jhoot tha sab
jhoot hi hota hai humesha
sach bhi ek jhoot hai
jhoot bhi ek sach !
tere milan k geet
jo honton pe jawan rakhe hain
apne wisl k khwab
jo palkon pe saja rakhen
us jhoot k bojh se
aankh khulti hi nahi
din hota hi nahi
sach k asrar pe
kholi jo kabhi aankh
toot gya woh khwab
jo sach ki soorat liye
ek jhoot ka qarz tha
uske tootte hi
sach ki kirne lagin pahelne
aur chane laga
phir se
har soo andhera

1 comment:

  1. andaaz e bayan ek mahir e adab ke liye jazib e nazae. zabaan mein sadgi ke sath hi lutf chupa hai.

    ReplyDelete