Friday, September 10, 2010

Safar e Taweel





















taweel zindagi ki

taweel raahon par

taweel hai hasraton ka qissa

taweel kamranyon ka

taweel silsila

karzaare hayat mein

mukhtasar kuch bhi nahi

mukhtasar bhi taweeltar hai

andheri raaton mein

apni hiqaraton

kasafaton

nadamaton ka

taweel hai qissa

hal se taweel nahi

mazi mein jo pewast hai

hal bhi qaleel nahi

mustaqbil se taweel tar hai

badhti jati hai chak karti hue

adam k saare purde

beniqab hote jate hain

woh jo saare posheeda the

qaleel paemano mein taweel waade

1 comment:

  1. mukhtasir bhi taweel hai :) bht khoob..mukhtasir taweel ho k nahin..ye aap jese gehre aur zaheen log zayada behtar jante hain..mgr..hum jese la ilaj rogi ye zuroor samjh chuke k..mukhtasir k mukhtasir hone ki haqeeqat k idrak ka safar bht taweel hota hai..la mutnahi :)

    ReplyDelete