Ujaad kar mere dil ki basti
basa liya usne apna
rangeen raaj mahal
aur phir morid e ilzam thahraya mujhe
naashnae ka , kaj adaae ka
jhatak kar hath apna
kaha usne bewafae se
tum nahi ho qabil
dil mein mere rahne ke !
Insan ki asal haisiyat tajzya nigar ki hi hai- Woh lakh takhliqiyat ka dawa kare lekin dawa bhi tazad ka hi roop hai. Isliye ki insani takhliqiyat ke peeche bhi uska quwaate tajzya hi kar farma hota hai. Qalamkar isi tajziye aur takhliqiyat ke mabaen pech o tab khata hai.Woh hamesha paradox mein jeeta hai.Uska safar e tajzya lamatnahi hi hota hai..tajzya jari hai...
yeh dunya hai zalim aur zalim rahegi
tu rakh is se na koi wasta mere rafeeq
qadam tu badha raah e shaoq mein lekin
na rakh kuch ummeeden mal o zar ki rafeeq
safar hai taweel aur saya nahi koi
mahaz hai bharosa khuda hi se mere rafeeq
jo ruka woh bhi paspa jo jhuka woh bhi zaleel
tu sar utha kar soo e maqtal chala chal rafeeq
nikal hi aaya chand
naweed e subah le kar
aur jalne lage musarrat k diye
galyon mein bachche karne lage shor
har soo hungama hua barpa
shaoq aur arman ki takmeel ki khatir
badhte the qadam
purnoor shahrahon ki janib
har shaoq hua ujale mein zam
aur har noor ne bakhsha mujhe
wahi huzn e qadeem
phir yadon ne bhare daman
zakhmon se
aur murjhae har ek phool
dil e maghmoom le kar phir
chal dia main tareek rahon ki oor
jahan behri khushyon ka
na ho koi shor
taweel zindagi ki
taweel raahon par
taweel hai hasraton ka qissa
taweel kamranyon ka
taweel silsila
karzaare hayat mein
mukhtasar kuch bhi nahi
mukhtasar bhi taweeltar hai
andheri raaton mein
apni hiqaraton
kasafaton
nadamaton ka
taweel hai qissa
hal se taweel nahi
mazi mein jo pewast hai
hal bhi qaleel nahi
mustaqbil se taweel tar hai
badhti jati hai chak karti hue
adam k saare purde
beniqab hote jate hain
woh jo saare posheeda the
qaleel paemano mein taweel waade
aaj phir khyal aa hi gya
un wadon ka jo tu ne kiye hi nahi
jo maine sune hi nahi
jo mahfooz the seene mein tere
lekin izhar se aari the
izhar bhi to fitna hai koi
us fun ki tarah jo tamashabeen
ki 'adabi hawas' k liye
bikwata hai us se
uska zameer
lekin majboor ho tum bhi
majboor hain hum bhi
izhar k sahare hee
hum hum hain
aur tum ho tum
fitna e izhar se sarshar hi
banta hai tera aur mera wujood
(This is in impulsive reaction to a painting of Upendra marathi named 'At the fag end of life' )
chehre pe zaeefi ki lakeeren thi raushan
aur bujha chahta tha zindagi ka shama
hadd e ummeed ko cheer gaye
woh nigah e be aas
toot gaye aaza
sookhi dharti ko takte takte
aur
dharti k jyalon ka lahoo choosne ko
badal bhi kahin aur ja kar
barsa bhar dam
khuda e zameen aur khuda e falak ne
loot lee dehqan se roti uski
bheek mein mil jaye kahin aasaesh e hayat
par takreem se milti nahi
banda e majboor ko maut
aur doob gya
din bhar ka thaka hara sooraj
aur doob gaye
sath uske
aas ki akhiri nabz
aur sham e na ummeed
utri hai dareeche pe mere
le k hijr ki sari yaadein
le k wisl ki sari baatein
aaj subah jo khola
purana album
teri yaadon
teri baaton
teri raaton
se subah ki maine
aur din bhar
teri yadon se
labon ko jawan rakha tha
aur farhat e qalb thi
ummeed e wapsi mein teri
aankhon mein wahi
wisl ki ummeed k
diiye raunshan the
aakhirash sham e firaq
kar gaye basera
aur yaum e taskeen ki shab ho gaye aakhir