gehri chinta mein
sar par hath dare
kisi mufakkir ki tarah
jo takmeel e tehreer se pehle
apna rasta kho chuka ho
aankhen madhoshi mein leen
abdi aaram khojti hue
aur munjamid hath
ek besada paththar ko sil kar rahe the
nadi ki khamosh sathon par achanak
paththar phenk kar
apna izterab us se bant lia
paththar ke wujood se
nadi mein tarengen dor gayein
nadi ba ek waqt harkat aur umang ki dastan sunane lagi
paththar k wujood ne
nadi ko khabi aur neem khabi k darmyan
zindagi ka suboot dia
chinta ko aaram milne laga
paththar ka hona
apni harkat k liye kitna zaroori hai
behisi k darya ko
hiss kaun deta hai
aur doosra paththar hath mein uchalta hua
woh us manzil ki taraf badh gya
No comments:
Post a Comment