Sunday, July 3, 2011

Nigahban Ujala

is nagar men main

kis se baat karoon

kise humkalam karoon

kise karoon woh kuch byan

jise sunane k liye meri zaban tarasti rahi

lekin kaun hai behron ki is nagri mein

hungamon k is bazar mein

jo sun sake woh dastan

jo raat ki siyahi se likhi gaye hai

safedi k us qirtas par

jis ke waris suraj se karte hain baten

aur chandni raaton se katrate hue

siyahi talahste hain

ta k tareeki ki dastan ko alfaz mil sake

aur jo padhi ja sake mahaz ujalon mein

tareeki woh jise na jan saken

jo mohtaj ho kisi kiran ka

jo uske wujood k behijab kar de

de sake use woh zaban jo

ujale ki dastaras mein hai

ujala bolta hai aur raat hai goongi

No comments:

Post a Comment