Sunday, July 3, 2011

Ek Raat

aye meri

jan e tamanna

meri jan e hayat

har raat

jab waqt e safar aata hai

aankh hoti hai bojhal

aur khaab palkon pe utar jata hai

rooth jati ho tum mujhe se

aur chor jati ho sada tanha

aye meri

jan e tamanna

darya e majboori ko karen par

phir tham len hath ek dooje ka

aur dekhen hum phir wahi khab

jise sajaya tha humne hi

doob kar apne junoo mein

bhool kar dono jahan

aye meri

jan e tamanna

meri jan e hayat

apni baton se

apni yadon se

humne tarashe the woh nuqoosh

aaj bhi jo dete hain sada

bulate hain humen

yaadon k us jungle mein

jis mein basti hai

ruh humari aur tumhari

aur jhoomti hai un dhunoo par

jo hijr ki dhoop mein bhi

wisl ki thandi hawa thi

aur ban jati har raat

naghmon ki hasin raat

aye meri

jan e tamanna

chor k tum mujhe

kyun chali jati ho

har raat

No comments:

Post a Comment