Yahan aahon aur naalon mein
dhali gaye hai woh faryad
jo halaq mein phaans ban kar
zeest ko dard ka khareedar karti rahi
baharon k mausam mein dhoondhti rahi
woh khizan jis se paale ja saken
woh naale aur aahen jo zindagi k qareeb tar the
dhaal kar usko faryad e dil mein
bakhshi gaye hai use ek nae jaan
jo azan e sehar ki manind uthati hai aur sulati hai
bistar e aafiat par unko jo jage bhi hain
aur sote bhi hain karwat badal kar
jo aawazon ko pash pash kar ke
palat dete hain woh waqt jo unke wujood ko
jhinjhorta hai aur rakhta hai unhen muztarib
No comments:
Post a Comment