Kuch Khaab
Palkon pe sajne k liye hee
paeda hote hain
aur mar jaate hain
apni fitri maut
palak jhapakte hi !!!
Insan ki asal haisiyat tajzya nigar ki hi hai- Woh lakh takhliqiyat ka dawa kare lekin dawa bhi tazad ka hi roop hai. Isliye ki insani takhliqiyat ke peeche bhi uska quwaate tajzya hi kar farma hota hai. Qalamkar isi tajziye aur takhliqiyat ke mabaen pech o tab khata hai.Woh hamesha paradox mein jeeta hai.Uska safar e tajzya lamatnahi hi hota hai..tajzya jari hai...
No comments:
Post a Comment