( development k victims k naam)
un mushtael aankhon mein
woh khaab nahi the
jis khab ka wada kar ke
siasi rehnumaon ne
zameen bech di
jo ugalti thi dane
sona chandi ki manind
woh falak bech dia
jis ke saye mein
nangi peeth kisan
karte the aaram
aur parinde gate the
magan tarane
khushi aur azadi ke !
woh aankhen
khoon mein doobi aankhen
jo shahid hain
barbariat ki
zulm ki anginat dastano
ki wahid ameen
woh aankhen jis ne
dekhen hain woh tabnak manzar
k jis mein jalte the ghar
lutti thi ismaten,aur
dhara dhar dhara dhar
girti thi lashen zameen par
woh aankhen amanat hain
un saron ki
jo jhuke nahi
khaki wardi ke aage
jo bike nahi
mal o zar ke evaz
woh aankhen
dekhti nahi hain ab khab
ho chuki hain nabeena
lekin pehchanti hain
apni tareekh ko
jo khab ki had mein nahi
No comments:
Post a Comment