abhi aur
kitne nadaron ka khoon behna hai
abhi aur
pakki sadkon ko kitno ka lahoo chatna hai
abhi aur
kitni do sheezaon ko apni ismat k lutne pe rona hai
abhi aur
kitne bapon ko apne jyalon ko ghusal dena hai
abhi aur
kitni boodhi maaon ko kandhon pe uthana hai bojh
abhi aur
kitne muflison ko, bewaaon ko karna hai matam
abhi aur
kitne qanoon k rakhwalon se lene hain zillat k tamghe
abhi aur
sookhi chati liye maaon ko phirna hai dar badar
abhi aur
kitne bachchon ko tadapna hai naye zindagi k lye
abhi aur
kitne tareek raton ko lahoo rona hai
abhi aur
subah e ummeed ki aas mein deewano ko katane hain sar
abhi aur
kitne shayar e waqt ko maut hi maut likhna hai
No comments:
Post a Comment