Saturday, August 27, 2011

Zabt e tehreer (Ek berabt khyal)

main aaj likhne se qasir hoon

main likh bhi nahi sakta use

woh warq e zindagi jis par

tumhara nam hi likhna tha mujh ko

woh safha e zeest hasil ho gaya mujh ko

magar zabt e tehreer ka yara nahi baaqi

nahi likhna mujhe woh kuch

jo guzri humare aur tumhare darmyan

khizan k mausamon ki aakhiri shab mein

woh aahon ki sada jo zard patton ko

bahar e nau ka naghma sunati hi rahi

qalam ko shah e jahan mana magar phir bhi

jo kahani thi adhoori woh puri ho nahi paye

nahi likha kabhi humne woh kuch

jo is jeevan k kal chakra main

uljah kar rah gaye kisi faryadi ki manind

sawalon ko uthane ki ijazat bhi nahi mujh ko

jawabon k samundar mein sawalon ki nahi zaroorat

zindagani k qaziye se ab farar hi muqaddar hai

Saturday, July 30, 2011

Virtuality

Tumhen maine kahin dekha hai shayad

wahi qad

wahi gesoo

wahi ada e dilfareb

wahi seerat e dilnawaz

baat ka wahi dhab

usi rafeeq ki phir talash

raat gaye tak tum

hua karti thi mere roobaroo

masael e zeest pe hakeemana

tabsera kia karti thi tum

apne hone ka haqeeqi idrak

tumhen hi to tha !


par aaj tumhen kya ho gya

kyun bhool gaye woh sari baten

aaj mein rehte hue tum ne

kyun use kal bana dia

apne hone ko tum ne

kyun khud hi mita dia

shanakht e khudi nahi?

apne hone ki koi khushi nahi??

aaj tumhen kya ho gya

apni sinf

apni jins

apna mazhab bhi

tumhen yaad nahi

kya tum wahi nahi

jise maine dekha tha shayad?

nahi'

hargiz nahi

main woh nahi hoon

woh meri doosri ID hai !

Ummeed e zindagani

lahoo rone ke bahane ghar se nikle

khab bahana karne ko chaman se nikle


samajh kar aaghaz e safar ko anjam

hum saath tera khoob nibhane nikle


ghar se kuch door nahi tha maqtal

phir bhi qarya qarya sar ko katane nikle


chaen payen is shehar mein aisi taqdeer kahan

dhoondhne sehra mein aye zindagi' tujh ko nikle


yeh zameen kiski hai kaun jeetega ise

huzur e aql mein zinda sawalon ko talashne nikle


hath shal ho gaye jo ummeed ke diye le kar

aise diyon ko hum phir se jalaane nikle

Nabeena aankhen

( development k victims k naam)

un mushtael aankhon mein

woh khaab nahi the

jis khab ka wada kar ke

siasi rehnumaon ne

zameen bech di

jo ugalti thi dane

sona chandi ki manind

woh falak bech dia

jis ke saye mein

nangi peeth kisan

karte the aaram

aur parinde gate the

magan tarane

khushi aur azadi ke !

woh aankhen

khoon mein doobi aankhen

jo shahid hain

barbariat ki

zulm ki anginat dastano

ki wahid ameen

woh aankhen jis ne

dekhen hain woh tabnak manzar

k jis mein jalte the ghar

lutti thi ismaten,aur

dhara dhar dhara dhar

girti thi lashen zameen par

woh aankhen amanat hain

un saron ki

jo jhuke nahi

khaki wardi ke aage

jo bike nahi

mal o zar ke evaz

woh aankhen

dekhti nahi hain ab khab

ho chuki hain nabeena

lekin pehchanti hain

apni tareekh ko

jo khab ki had mein nahi

Wednesday, July 20, 2011

Yeh Zindagi

Umr k is pahyie pe

zarb kaun lagayega

iski fitri raftar

kaun rok payega

yeh badhti jati hai

poochti kuch bhi nahi

chore jati hai sawal

guzarte salon k qirtas par

yeh mauj e junoo hai

baha le jati hai sath apne

jitne nuqoosh chorti hai

baqi agar kuch bhi rahe

hisab uska kuch bhi nahi

zindagi bikhri hue ek kahani

unwan uska kuch bhi nahi

hasil jo karen zindagi se hum

utaren isi zindagi ka qarz hum

isi zinadagi ki talash mein

kitne mah o saal guzar gaye

kae hijr o wisal guzar gaye

bahaar aaye aur guzar gaye

khizan bhi aaye chali gaye

umr e rafta ka yeh hisab

ab na de paoonga

qissa e zindagi

ab na kah paonga

kae saal hum se choot gaye

anginat qatar mein hain

maut k apne intezar mein hain

Sunday, July 3, 2011

Doobti Aawaz

raat bhi hai aur pura chand bhi

saath bhi hai unka aur baat bhi

saaz bhi hai aur hath mein rabab bhi

hath bhi zinda aur baikhtiyar bhi

halaq mein ghut rahi ek naye awaz bhi

bolti tasweeren hain aur mane ki talash bhi

jism shal hai aur lehraati talwar bhi

dhoondhta hoon rasta aur safar ki aas bhi

maut hai meharban aur zindagi ki chah bhi

khojti hain aawazen bolti zaban bhi

doobte suroon mein hai shayar ki awaz bhi

teri zulf ka aseer hoon aur qaed ki talash bhi

Aasha

kaale baadlon mein doob kar

aakash ko choone ki aasha

aasman mein bikhre taaron ko

tod kar apna banane ki aasha

udta jaon main bin sahare

is zameen o aasman ko jeene ki aasha

baadlon ke is samundar mein

doob kar khud hone ki aasha

ud rahi hai is faza mein zindagi

is zindagi ko tere naam karne ki aasha

kaale baadlon mein doob kar

aakash ko choone ki aasha