Sunday, September 6, 2009

Tajurba

Zindagi ke tajurbe khah kaise hee hon 'har tajurbe ko 'haq' aur 'batil' mein byan nahi kia ja sakta.Har tajurbe ka bazahir mana nikal aaye yeh bhi zaroori nahi.lekin tajurbe ka idrak zindagi ke safar ko dilchasp aur qeemti bana deta hai.baz dafa hum zindagi mein un tajurbon ko mahsoos karte hain jis ke liye na aql tayyar hoti hai na hi tawaqqo ke kisi goshe mein us k liye jagah hoti hai.lekin yehi tajurbe zindagi mein haseen shamen jala dete hain.aise hi kisi tajurbe se zindagi ko ek naya mod milta hai.hayat e bemasraf manwe'at se bahramand hoti hai.

Zindagi agar tajurbe ka doosra nam hai to har lamha us mein ezafa hee ho raha hai lekin haye afsos k log apne tajurbon ka idrak nahi rakhte. Aur tajurbe se murad wahi shae hoti hai jo achche aur bure ki shakl mein zahir ho.Agar waqae zindagi mein tajurbe se bahar aati hai to kya tajurba hamesha "hadse" ki shakal mein roonuma hota hai.Har giz nahi! tajurba to sirf un lamhon ka ehsas hai jis mein insan zindagi bashaoori k aalam mein guzare.tab shayad usko yeh ehsas bhi ho k sans lena bhi ek tajurba hai.lekin dunya mein paeda hue latedad insano mein se bahut kam zindagi shaoor ke aalam mein guzarte hain.aur jab use lashaoori mein koi "hadsa" shaooor ka ehsas dilata hai to insan use tajurbe mein shumar karne lagta hai.