Tuesday, December 29, 2009

Gham e yaran

wahshat si bhar gya tha mere dil mein woh
maseeha samajh k maine qatil ko dee jagah

andaze dosti pe uske tut k aaya mera dil
lekin zillat naseeb thi,usne ata ki har jagah

zindagi ki haseen sa'aten usi ki yad ka makan
jo mere gham mein shareek tha,jo humsafar tha har jagah

khizan naseeb kar k mujhe chala gya woh shakhs
lekin uski yad ka nishan dhoondhta hoon har jagah

aaye sadae dil k gham hi tera naseeb hai
gham jo wafa ki aag mein jalta hai har jagah