Sunday, November 1, 2009

aankhon ki tehreer

Aankhon mein tehreer thi uski
padhne ki nakam thi koshish

Aankhon mein toofan tha barpa
badal ki zad mein thi sazish

Ek purani yaad ka toofan
weerane mein aabad ki koshish

jugnu the sare nur sarapa
andhyare mein ujyale ki koshish

tehreeron mein doobi aankhen
hungamon mein gumnam ki koshish

sawan aaya toot gaye zanjeeren
aazadi mein maut ki koshish

Aakhiri Tehreer

likh raha tha woh
Khoon e jigar se ek tahreer
lahoo mein doobi hue
tamannaon,arzoo'on ki
taweel tareekh
nadan tha woh
tamannaon,arzoo'on ki tareekh likhna
hemaqat hai
tamannaon,arzoo'on ki koi tareekh nahi hoti
yeh tehreer likhte likhte
kitne log khud tareekh ho gaye
Kaun samjhata use
Woh to rakh se wuzoo karta
khoon se tehreer likhta
Aaag se wafa karta
Hijr ko wisl samajhta
Ghubar aalood chehra
Pur aaseb raten
uska muqaddar theen
jangalon ki sham jab
raqs karte dareecha tak aati
to woh wajd karta
uski tehreer e khoonchuka
ki takmeel se
shehre jana mein"khushhali" azan dene lagi

yaas (berabt)

Aaj Jee bahut udas hai
Dil mera beqarar hai
qalam harkat nahi karta
zaban bezaban hai
dunya e dil mein talatum hai
jazbat bekaran hain
aankh chalakne ko betab
quwwat e fikr sard hai
ehsas munjamid hain
rooh muztarib hai
yadon ka ek toofan
mere wujood ka makan
tabdeel kar chuka hai !
koi apna kyun nahi banta
sukoon kyun dil e muztar mein
sukoonat pazeer nahi hota?
hont kanpte rehte hain
mudduwa kyun byan nahi hota
aankh bhari hi rehti hai
chalak kyun nahi jati
sao bar koshish e izhar kar chuka hoon
woh mudduwa khud samajh kyun nahi jate
aaj phir darya e gham mein
khud ko
tanha pa raha hoon
aaj phir nam deedah
apni ghaltian yad karta hoon
shiddat e dard maazi k dareeche kholte hain
maazi hisab ka daftar sath lati hai
maazi dard k khazane bhi lati hai
isliye !
dard aur ehtesab maazi mein pewast hain
dard k baghair ehtesab nahi
ehtesab k baghair dard bemana
aaj wahi dard laut k aaya hai
ehtesab ka bojh sath laya hai
isliye aaj phir jee udas hai