Thursday, December 30, 2010

settlement












Ujaad kar mere dil ki basti

basa liya usne apna

rangeen raaj mahal

aur phir morid e ilzam thahraya mujhe

naashnae ka , kaj adaae ka

jhatak kar hath apna

kaha usne bewafae se

tum nahi ho qabil

dil mein mere rahne ke !

Rafeeq e Raah











yeh dunya hai zalim aur zalim rahegi

tu rakh is se na koi wasta mere rafeeq


qadam tu badha raah e shaoq mein lekin

na rakh kuch ummeeden mal o zar ki rafeeq


safar hai taweel aur saya nahi koi

mahaz hai bharosa khuda hi se mere rafeeq


jo ruka woh bhi paspa jo jhuka woh bhi zaleel

tu sar utha kar soo e maqtal chala chal rafeeq

Sunday, October 17, 2010

Understanding


ek hi to jumla tha
tum mujhe nahi samjhoge
yeh kah kar usne
apni unglyan chura leen
yadon ka daaman aaj bhi
usi jumle se aabad hai

Saturday, October 16, 2010


hugamon ki is dunya mein
dhoondh raha hoon apna aap
pooch raha hoon wahshat se
kya tumne mujh ko dekha hai?

baarish

thamti nahi
bin mausam ki barish
daftar mein mahsoor
kaanch ki bheegi khidki pe
chand lakeeren kheench raha hoon
dhundhle dareeche se
zahir kitna ghair yaqeeni lagta hai
theek humare mustaqbil ki tarah

Friday, September 10, 2010

Meri Eid












nikal hi aaya chand

naweed e subah le kar

aur jalne lage musarrat k diye

galyon mein bachche karne lage shor

har soo hungama hua barpa

shaoq aur arman ki takmeel ki khatir

badhte the qadam

purnoor shahrahon ki janib

har shaoq hua ujale mein zam

aur har noor ne bakhsha mujhe

wahi huzn e qadeem

phir yadon ne bhare daman

zakhmon se

aur murjhae har ek phool

dil e maghmoom le kar phir

chal dia main tareek rahon ki oor

jahan behri khushyon ka

na ho koi shor

Safar e Taweel





















taweel zindagi ki

taweel raahon par

taweel hai hasraton ka qissa

taweel kamranyon ka

taweel silsila

karzaare hayat mein

mukhtasar kuch bhi nahi

mukhtasar bhi taweeltar hai

andheri raaton mein

apni hiqaraton

kasafaton

nadamaton ka

taweel hai qissa

hal se taweel nahi

mazi mein jo pewast hai

hal bhi qaleel nahi

mustaqbil se taweel tar hai

badhti jati hai chak karti hue

adam k saare purde

beniqab hote jate hain

woh jo saare posheeda the

qaleel paemano mein taweel waade

Izhaar





















aaj phir khyal aa hi gya

un wadon ka jo tu ne kiye hi nahi

jo maine sune hi nahi

jo mahfooz the seene mein tere

lekin izhar se aari the

izhar bhi to fitna hai koi

us fun ki tarah jo tamashabeen

ki 'adabi hawas' k liye

bikwata hai us se

uska zameer

lekin majboor ho tum bhi

majboor hain hum bhi

izhar k sahare hee

hum hum hain

aur tum ho tum

fitna e izhar se sarshar hi

banta hai tera aur mera wujood

Tuesday, September 7, 2010

Hayat e Adam (Adam = non existent)


(This is in impulsive reaction to a painting of Upendra marathi named 'At the fag end of life' )














chehre pe zaeefi ki lakeeren thi raushan

aur bujha chahta tha zindagi ka shama

hadd e ummeed ko cheer gaye

woh nigah e be aas

toot gaye aaza

sookhi dharti ko takte takte

aur

dharti k jyalon ka lahoo choosne ko

badal bhi kahin aur ja kar

barsa bhar dam

khuda e zameen aur khuda e falak ne

loot lee dehqan se roti uski

bheek mein mil jaye kahin aasaesh e hayat

par takreem se milti nahi

banda e majboor ko maut

Yaum e Taskeen


(This is impulsive reaction to a painting of Sir Sir Lawrence Alma-Tadema and its named as ' at the close of a joyful day')

aur doob gya

din bhar ka thaka hara sooraj

aur doob gaye

sath uske

aas ki akhiri nabz

aur sham e na ummeed

utri hai dareeche pe mere

le k hijr ki sari yaadein

le k wisl ki sari baatein

aaj subah jo khola

purana album

teri yaadon

teri baaton

teri raaton

se subah ki maine

aur din bhar

teri yadon se

labon ko jawan rakha tha

aur farhat e qalb thi

ummeed e wapsi mein teri

aankhon mein wahi

wisl ki ummeed k

diiye raunshan the

aakhirash sham e firaq

kar gaye basera

aur yaum e taskeen ki shab ho gaye aakhir

sadgi


yeh kaisa ishq tera hai

yeh kaisi bechargi meri

jo chahon bat karna bhi

zaban tarasti rahi meri

jo chahoon deedar tera to

aankh pathra gaye meri

ek teri yaad ki khushbu

basi hai rooh mein meri

tod doon sare paemane

jisse jhalakti rahi tasweer teri

chaak kar ke lafzon k parde

wujood apna dikhla de hayat meri

Thursday, July 15, 2010

main aur tum

main bhi kho jaon
tum bhi kho jao kahin
bhool jaen
tum bhi the
hum bhi the kabhi
jhoot tha sab
jhoot hi hota hai humesha
sach bhi ek jhoot hai
jhoot bhi ek sach !
tere milan k geet
jo honton pe jawan rakhe hain
apne wisl k khwab
jo palkon pe saja rakhen
us jhoot k bojh se
aankh khulti hi nahi
din hota hi nahi
sach k asrar pe
kholi jo kabhi aankh
toot gya woh khwab
jo sach ki soorat liye
ek jhoot ka qarz tha
uske tootte hi
sach ki kirne lagin pahelne
aur chane laga
phir se
har soo andhera

tera khyal

mujhe iska kuch nahi pata
k safar hoga khatm kahan
sham dhalegi zindagi ki
tu milegi ya nahi
teri soch se
wisl k khyal se
dhoop bhi chandni lage

rail gadi

Rail ke dabbe mein sannata
tootta tha kuch der pe
shor se bachchon ki
aur sath hi khwabon ka fusoon
yaadon ki barat
pe lagti thi ek rok
phir khyal aata tha
zindagi is train ki manind
badhti jati hai
ithlati hue'bal khati hue
ek hi safar mein din aur rat
ek hi manzil mein bahar o khazan
kahin pahad koi
tane khada hai seena
kahin nadi behti hai
lehrati hue
jungle ki sham
aur
sarsarati hawa
pahuncha laye hai mujhe
teri yadon ki god mein
khyalon k us muqam pe
har tafkeer ko lagti hai rok
har soch sabit hue bemana
har mantiq mahaz lafzon ka jhol
teri yad k daman se gar nikloon
to ulajh jata hoon phir
daemi un sawalat se
jo chubhte hain humesha
zehar aalood teer ki tarah
k
tu kaun hai?
main kahun hoon?
rishta hai kya
tera aur mera?

bujhe cigarette

kae bar aaj ki
use honton se
qareeb karne ki koshish
bilaakhir taraste hue honton pe
saj hi gaye ek cigerette
barha
machis jalae
lekin
ek bar bhi
nahi utha koi dhuan
use jalane ki har koshish
hue nakam
theek usi tarah
jis tarah
jalte hue dil pe
baraf ka tukda
nakam!!

Friday, April 2, 2010

Mantiq hai kya?

Kaha usne ek din

nehayat ehteyat se

k aakhir

alfaz o ma'ani ka

sara khel hai kya?

alfaz o ma'ani k

rishte ka kaun

zimmedar hai ?

maine zara der

soch kar kaha us se

mantiq hi kadi hai

alfaz o ma'ani

k darmyan

usne hairani se

tashkeek k samundar se

sar utha k poocha

meri besood ma'anwi mohabbat ki

mantiq hai kya?

Rang ki jeet

Shehar ujda hua

sadken sari sunsan

adam hain adam zad

khoon k pyase ek duje k

dukano par lage hain tale

koel sari gumsum hain

patte sare murjha gaye

haewan bhi hain aman k mare

cheekh rahi hai sari dharti

bilak rahe hain sare bachche

pyas k mare taras rahe hain

pooch rahe hain mujrim kaun?

shehar mein aaye fasad ki aandhi

dahal gaye hai aman ki wadi

khel hai sare rangon ka

hara, kesarya ya 'lal'

jeet hue hai 'lal' ki aakhir

Saturday, January 2, 2010